Sunday, March 11, 2012

10 Muntakhib Ghazalein (10 Selected Ghazals)


An-ginat andekhe raston’ se guzarna hai mujhe-
Jab kahin’ jaa kar samandar mein utarna hai mujhe..

Mere aangan mein’ bhi ae qaus-e-qazah ek din utar-
zindagi mein’ tera ek ek rang bharna hai mujhe..

dekhta hun’ kyun’ ghane pedon’ ke saayon’ ki taraf-
jab sar-e manzil pahonch kar hi theherna hai mujhe..

mere pairon’ mein’ jo chhaale hain, woh bemasraf nahin’-
aakhir is sehra ko bhi sairaab karna hai mujhe..

kab tak aakhir main rahunga khud mein’ hi simta hua-
ek na ek din to beher soorat bikharna hai mujhe..

(Aabid Munawari)
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -


Mila tha kal jo sar-e raah chaahaton’ ki tarah-
Theher gaya meri aankhon’ mein wehshaton’ ki tarah..

jo dil ki simt badha tha mohabbaton’ ki tarah-
simat ke reh gaya seene mein’ nafraton’ ki tarah..

use gumaan ke chaha use zamaane ne-
azeez sab ko tha lekin zarooraton’ ki tarah..

kab aashnaa-e mohabbat tha, kar gaya phir bhi-
woh mere dil pe hukumat mohabbaton’ ki tarah..

har aik mod par, har zindagi ki manzil par-
woh yaad aayega lekin shikaayaton’ ki tarah..

mohabbaton’ se bade nafraton’ ke rishte hain’-
woh mujh mein’ zinda rahega adaawaton’ ki tarah..

(Shamsul Gani)
- - - - - - - - - - - - - - - - -




Aandhi chali to naqsh-e kaf-e paa nahin’ mila..
Dil jis se mil gaya woh dubara nahin’ mila..

hum anjuman mein’ sab ki taraf dekhte rahe-
apni tarah se koi akela nahin mila..

mehr-o wafaa ke dasht nawardo jawaab do-
tum ko bhi woh ghazaal mila ya nahin’ mila..

aawaaz ko to kaun samajhta ke door door-
khaamoshiyon’ ka dard shanasa nahin’ mila..

kachche ghade ne jeet li naddi chadhi hui-
mazboot kashtiyon’ ko kinara nahin’ mila..

(Mustafa Zaidi)
--- --- --- --- --- --- --- --- --- --- --- ---



Apna dukh apna hai pyare, gair ko kyun’ uljhaoge-
apne dukh mein’ paagal ho kar ab kis ko samjhaoge..

dard ke sehra mein’ laakhon’ ummeed ke laashe galte hain’-
ek zaraa se daaman mein’ tum kis kis ko kafnaaoge..

tod bhi do ahsaas ke rishte, chhod’ bhi do dukh apnaane-
ro ro kr jeevan kaatoge, ro ro ke mar jaaoge..

raaz ki baat ko khaamoshi ka zeher samajh kar pee jana-
kehne se bhi reh na sakoge, keh kar bhi pachhtaaoge..

aaj yahaan’ pardon’ se udhar uryaani hi uryaani hai-
tum bhi nange ho kar naacho, yun’ kab tak sharmaaoge..

(Akhtar Imaam’ Rizvi)

- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -


rang baatein karen’ aur baaton’ se khushboo aaye-
zakhm phoolon’ ki tarah mehke agar tu aaye..

bheeg jaati hain’ is ummeed par aankhen’ har raat-
shaayad is raat wo mehtaab lab-e ju aaye..

hum teri yaad se katra ke guzar jaate magar-
raah mein’ phoolon’ ke lab saayon’ ke gesu aaye..

wahi lab-tashnagi apni, wahi targeeb-e saraab-
dasht-e maaloom ki hum aakhri hadd chu aaye..

seene weeran huye anjuman aabaad rahi-
kitne gul chehra gaye, kitne pari ru aaye..

aazmaaish ki ghadi se guzar aaye to Zia’-
jashn-e gham jaari hua aankh se aansu aaye..

(Zia’ Jalandhari)

- - - - - - - - - - - - -




Main ne roka bhi nahin’ aur who thehra bhi nahin-
haadsa kya tha jise dil ne bhulaya bhi nahin..

jaane walon’ ko kahaan’ rok sakaa hai koi-
tum chale ho to koi rokne wala bhi nahin..

door-o nazdeek se uthta nahin’ shor-e zanjeer-
aur sehra mein’ koi naqsh-e kaf-e paa bhi nahin..

benayazi se sabhi qarya-e jaa’ se guzre-
dekhta koi nahin’ hai ke tamaasha bhi nahin..

wo to sadiyon’ ka safar kar ke yahaan’ pahoncha tha-
tu ne munh pher ke jis shakhs ko dekha bhi nahin..

kis ko neerangi-e ayyaam ki soorat dikhlaayein’-
rang udta bhi nahin’, naqsh theherta bhi nahin’…

(Aslam Ansari)
---- - - - - - - - - - - - ----



Un se bhi apna saath nibhaya nahin’ gayaa-
adnaa sa aik baar uthaya nahin’ gaya..

roz-e azal se ahl-e jafaa sargaram rahe-
naqsh-e wafaa jahaan’ se mitaya nahin’ gaya..

sab kuchh bhula diya hai gham-e rozgaar ne-
lekin kisi ka pyaar bhulaya nahin’ gaya..

gardan utaar di gayi karbal ki rait par-
baatil ke aage sar ko jhukaaya nahin’ gaya..

muddat hui ke dil ne koi aarzoo na ki-
palkon’ pe koi khwaab sajaaya nahin’ gaya..

Ahsaan’ kyun wo baith gaye dil ko thaam ke-
Aisa to koi she’r sunaaya nahin’ gaya..

(Ahsaan Siwani)

- - - - - - - - - - - - - - - - - -



Zindagi se yahi gila hai mujhe-
Tu bahot der se mila hai mujhe..

Tu mohabbat se koi chaal to chal-
Haar jaane ka hausla hai mujhe..

Dil dhadakta nahin’ tapakta hai-
Kal jo khwahish thi aabla hai mujhe..

Humsafar chaahiye, hajoom nahin’-
Ek musaafir bhi qaafla hai mujhe..

Kaun jaane ke chaahaton’ mein’ Faraaz’-
Kya ganwaya hai kya mila hai mujhe..

Labkusha hun’ to is yaqeen ke saath-
qatl hone ka hausla hai mujhe..

kohkan ho ke Qais ho ke Faraaz’
sab mein’ ek shakhs hi mila hai mujhe..

(Ahmed Faraaz’)


'Zindagi se yahi gila hai mujhe..' by Ghulam Ali:



-- - - - - - - - - - - - - - - - - - -




Sach hai ke apna rukh bhi badalna pada mujhe-
main' qaafile ke saath tha chalna pada mujhe..

bewajah dil ko thi naye manzar ki justju-
benaam mausamon’ se behelna pada mujhe..

kuchh mere kaam aa na saki waza-e ahtiyaat-
sholon’ se door reh ke bhi jalna pada mujhe..

dast-e talab daraaz to sadiyon’ se hai magar-
kuchh baat thi ke aaj machalna padaa mujhe..

kitna badaa hujoom tha mere liye Shamim’-
kis khamushi ke saath nikalna pada mujhe..

(Shamim’ Farooqui)

- - - - - - - - - - - - - - - - - -

Lutf ka rabt hai koi na jafaa ka rishta-
Dil se kuchh aur hai zaalim ki anaa ka rishta..

Dast-e iiesa bhi wahi, panja-e qaatil bhi wahi-
Kitna naazuk hai charaagon’ se hawaa ka rishta..

Jabr-e haalaat kaho, gham ki makaafaat kaho-
Toot bhi jata hai honton’ se nawaa ka rishta..

Sochiye to sabhi apne hain’ koi ghair nahin’-
haakim-e sheher se hai jurm-o sazaa ka rishta..

manzar-e zeest mein’ kuchh rang-e nau bhar deta hai-
khaarzaaron’ se kisi aablaa paa ka rishta..

kya karen’ rasm-e zamana ki shikaayat Taabaa’-
dard se rakhte hain’ hum log sadaa ka rishta..

(Ghulam Rabbani Taabaan’)
- - -- - - - - -

6 comments:

  1. hey i am beginner as far as reading of gazals is concerned , i have been following gazals since last 5-6 years, i love ghulam ali saheb , mehendi saheb , jagjit saheb. can you suggest me some books with some traslation, i am asking you because i saw your blog. one such book i saw is https://www.goodreads.com/book/show/1186155.Ghazals_of_Ghalib?from_search=true#other_reviews
    can you suggest some by your wide experience.

    ReplyDelete
  2. Replies
    1. Thank You so much... appreciation really motivates me.

      Delete
  3. A good way to share images on Whatsapp.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank you for appreciation. Im Happy that people are being benefited. Thanks again. Keep Reading.

      Delete