Monday, March 5, 2012

Lahu lahu hai har ek sange rahguzar jaanaa




* * *
Lahu lahu hai har ek sang-e rahguzar Jaanaan'-

hua na tha tu mere dard ka safar Jaanaan'...




ye aur baat ke tu dil ki dhadkanon' mein' rahaa-

talaash phir bhi kiya tujh ko umr bhar jaanaan'..

ke sheher bhar ne to chehre ka karb dekha hai-

jo dil pe guzri hai us ki kise khabar jaanaan'..

bichhad ke tujh se to lamhe bhi maah-o saal huye-

ye umr kehne ko thi kitni mukhtasar jaanaan'...


This ghazal has sung by Mohtarma Abida Parveen.








No comments:

Post a Comment