us ne ek sang-e giraaN' raah mein' laa kar rakkha..
warq-e zeest padhe mere kitaabon' ki taraah-
apna deebacha-e hasti bhi chhupa kar rakkha..
dhoop mein chalte huye zaaviye tabdeel kiye-
apna saaya na mere qad ke baraabar rakkha..
wo shehenshah hai is daur ka jis ne sab ko-
bheek khwaabon' ki ataa kar ke gadaagar rakkha..
go inaayat ki baarish mein bhigoya, lekin-
haq to ye hai ke mera haq na baraabar rakkha..apna deebacha-e hasti bhi chhupa kar rakkha..
apna saaya na mere qad ke baraabar rakkha..
ikhtiyaar us ne rakhe apni hi tahveel mein' sab-
mujh ko tasveer ki maanind sajaa kar rakkha..bheek khwaabon' ki ataa kar ke gadaagar rakkha..
woh ujaalon' ka payambar hai ke jis ne taa-umr -
pyaar ka deep Ayaan' dil mein' jalaa kar rakkha..
(Rasheeda Ayaan')
Aur contents kab dalengey?
ReplyDelete