Tuesday, March 6, 2012

jab kabhi koi qadam main ne badha kar - Rasheeda Ayaan'

jab kabhi koi qadam main' ne badhha kar rakkha-
us ne ek sang-e giraaN' raah mein' laa kar rakkha..

go inaayat ki baarish mein bhigoya, lekin-
haq to ye hai ke mera haq na baraabar rakkha..

warq-e zeest padhe mere kitaabon' ki taraah-
apna deebacha-e hasti bhi chhupa kar rakkha..

dhoop mein chalte huye zaaviye tabdeel kiye-
apna saaya na mere qad ke baraabar rakkha..

ikhtiyaar us ne rakhe apni hi tahveel mein' sab-
mujh ko tasveer ki maanind sajaa kar rakkha..

wo shehenshah hai is daur ka jis ne sab ko-
bheek khwaabon' ki ataa kar ke gadaagar rakkha..

woh ujaalon' ka payambar hai ke jis ne taa-umr -
pyaar ka deep Ayaan' dil mein' jalaa kar rakkha..


(Rasheeda Ayaan')

1 comment: