Kuchh is adaa se aaj wo pehlu nashin' rahe-
jab tak hamaare paas rahe, hum nahin rahe..
ya rab kisi ke raaz-e mohabbat ki khair ho-
dast-e junu' rahe na rahe aasteen' rahe..
iieemaan-o kufr aur na duniya-o dee' rahe-
ae ishq shadabash ke tanhaa hamin' rahe..
dard-e gham-e firaaq ke ye sakht marhale-
hairaan' hun' main' ke phir bhi tum itne haseen' rahe..
jaa aur koi zabt ki duniya talaash kar-
ae ishq hum to ab tere qaabil nahin' rahe..
Allah re chashm-e yaar ki maujiz bayaniyaan'-
har ek ko hai gumaa' ke mukhaatib hamin' rahe..
mujh ko nahin' qabool do aalam ki wus'aten'-
qismat mein koo-e yaar ki do gaz zameen' rahe..
is ishq ki talaafi-e maafaat dekhna-
rone ki hasratein' hain' jab aansu nahin' rahe..
(Jigar Moradabadi)
No comments:
Post a Comment