***
Neeyat-e-Shauq bhar na jaaye kahin'-
tu bhi dil se utar na jaaye kahin'..
aaj dekha hai tujh ko der ke baad-
aaj ka din guzar na jaaye kahin'..
na mila kar udaas logon' se-
husn tera bikhar na jaaye kahin'..
aarzoo hai ke tu yahaan' aaye-
aur phir umr bhar na jaaye kahin'..
ji jalaata hun' aur ye sochta hun'-
raaegaan' ye hunar na jaaye kahin'..
aao kuchh der ro hi lein Naasir'-
phir ye dariya utar na jaaye kahin..
Nasir Kazmi
(1925-1972)
***
This ghazal is also sung by:
Asha Bhosle..
Noorejehan:
Ghulam Ali:
No comments:
Post a Comment