Monday, March 12, 2012

GHAZALS FROM FILMS..

Tum ko dekha to ye khayaal aaya-

zindagi dhoop tum ghanaa saaya..


aaj phir dil ne ek tamanna ki-


aaj phir dil ko hum ne samjhaya..



tum chale jaaoge to sochenge-


hum ne kya khoya, hum ne kya paaya..


hum jise gungunaa nahin' sakte-

waqt ne aisa geet kyun gaaya..




(Film: Saath Saath [1982], Poet: Javed Akhtar, Singer: Jagjit Singh, Music: Kuldip Singh)


Video: http://www.youtube.com/watch?v=-GRqHkV9Bls



- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -






Tum apna ranj-o gham, apni pareshani mujhe de do-

tumhein' gham ki qasam, is dil ki weeraani mujhe de do..



yeh mana main' kisi qaabil nahin' hun' in nigaahon' mein'-

bura kya hai agar, ye dukh ye hairaani mujhe de do..



main' dekhun' to sahi, duniya tumhein' kaise sataati hai-

koi din ke liye apni nigehbaani mujhe de do..



woh dil jo main ne maanga tha magar ghairon' ne paaya tha-

badi shae hai agar, uski pashemaani mujhe de do..



(Film: Shagun [1964], Poet: Sahir Ludhiyanvi, Singer: Jagjit Kaur, Music: Khayyam)

Video: http://www.youtube.com/watch?v=A8Yr1OOeOT8



- - - - - - - - - - - - - - - - - - - -






Mana Teri nazar mein' tera pyaar hum nahin'-

kaise kahen' ke tere talabgaar hum nahin'..



tan ko jalaa ke raakh banaya, bichha diya-

lo ab tumhaari raah mein' deewaar hum nahin'...



jis ko nikhara hum ne tamanna ke khoon se-

gulshan mein us bahaar ke haqdaar hum nahin'..



dhoka diya hai khud ko mohabbat ke naam par-

ye kis tarah kahen' ke gunehgaar hum nahin'..



(film: Ahista Ahista [1981], Poet: Naqsh Laelpuri, Singer: Sulakshana Pandit, Music: Khayyam)



- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -







Phir Chhidi raat baat phoolon' ki-

raat hai ya baaraat phoolon' ki..



phool ke haar phool ke gajre-

shaam phoolon' ki raat phoolon' ki..



aap ka saath, saath phoolon' ka-

aap ki baat, baat phoolon' ki..



Phool khilte rahenge duniya mein'-


roz niklegi baat phoolon' ki..


nazren' milti hain' jaam milte hain'-


mil rahi hai hayaat phoolon' ki..




ye mehekti hui ghazal Makhdoom'-


jaise sehraa mein' raat phoolon' ki..




(Film: Baazar [1982], Poet: Makhdoom Mohiuddin, Singers: Talat Aziz & Lata Mangeshkar, Music: Khayyam)




- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -



Justju jis ki thi us ko to na paayaa hum ne-
is bahaane se magar dekh li duniyaa hum ne..

tujhko ruswa na kiya khud bhi pashemaa na huye-
ishq ki rasm ko is tarhaa nibhayaa hum ne..

kab mili thi kahaan' bichhdi thi hamein' yaad nahin'-
zindagi tujh ko to bas khwaab mein dekhaa hum ne..

ae Adaa' aur sunaayen' bhi to kyaa haal apnaa-
umr ka lamba safar tae kiya tanhaa hum ne..

(Film: Umrao Jaan [1981], Poet: Sheheryar, Singer: Asha Bhosle, Music: Khayyam)


VIDEO: http://www.youtube.com/watch?v=C_eVsiOlZ9U&feature=related
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -



Aapki yaad aati rahi raat bhar-
chashm-e nam muskurati rahi raat bhar..

raat bhar dard ki shamma jalti rahi-
gham ki lau thartharaati rahi raat bhar..

baansuri ki surili suhaani sadaa-
yaad ban ban ke aati rahi raat bhar..

yaad ke chaand dil mein utarte rahe-
chaandni jagmagaati rahi raat bhar..

koi deewana galiyon' mein' phirta rahaa-
koi aawaaz aati rahi raat bhar..

(Film : Gaman [1978], Poet: Makhdoom Mohiuddin, Singer: Chhaya Ganguli, Music: Jaidev)
VIDEO:
http://www.youtube.com/watch?v=mlFXtzd4o38


- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -


Tera hijr mera naseeb hai, teraa gham hi meri hayaat hai-

mujhe teri doori ka gham ho kyun, tu kahin' bhi ho mere saath hai..



mere waaste tere naam par koi harf aaye, nahin nahin-

mujhe khauf-e duniya nahin' magar mere rubaru teri zaat hai..



tera wasl ae meri dilruba, nahin' meri qismat to kya hua-

meri mehjabeeN' ye hi kam hai kya, teri hasraton' ka to saath hai..



tera ishq mujh par hai meherbaaN', mere dil ko haasil hai do jahaaN'-

meri jaan-e jaaN' isi baat par meri jaan jaaye to baat hai..



(film: Razia Sultan [1983], poet: Jaan' Nisar Akhtar, singer: Kabban Mirza, music: Khayyam)



- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -







"Ye aarzoo thi ke hans kar koi mila hota-

kahin' to humse kisi ka dil aashnaa hota"




Kisi ne bhi to na dekha nigaah bhar ke mujhe-

gaya phir aaj ka din bhi udaas kar ke mujhe..



sabaa bhi laayi na koi payaam apnon' ka-

sunaa rahi hai fasaane idhar udhar ke mujhe..



muaaf kije jo main' ajnabi hun' mehfil mein'-

ke raaste nahin' maaloom is nagar ke mujhe..



woh dard hai ke jise seh sakun' na keh paaun'-

milega chain to ab jaan se guzar ke mujhe..



(film: Dil Aashna Hai [1992] , poet: Majrooh Sultanpuri, singer: Pankaj Udhas, music: Anand Milind)



- - - - - - - - - - - - - - - - - - - -







Ab ranj se khushi se bahaar-o khizaaN' se kya-

mehv-e khayaal-e yaar hain' hum ko jahaan' se kya..

un ka khayaal, un ki talab, un ki aarzoo-

jis dil mein' ho wo maange kisi meherbaa se kya..



hum ne charaag rakh diya toofaan' ke saamne-

peeche hatega ishq kisi imtehaaN' se kya..



koi chale, chale na chale, hum to chal pade-

manzil ki jis ko dhun ho use kaarvaaN' se kya..



ye baat sochne ki hai wo ho ke meherbaaN'-

poochenge haal-e dil to kahenge zabaaN' se kya..



(film: Dulhan Wahi Jo Piya Man Bhaye [1977], poet & Music: Ravindra Jain, singer: Hemlata]




- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -





Mushkil hai bahot mushkil chaahat ka bhula dena-

aasaan nahin dil ki ye aag bujha dena...



ye khel nahin' lekin ye khel hai ulfat ka-

roton' ko hansaa dena, hanston' ko rula dena..



dil walon' ki duniya mein' hai rasm ke jab koi-

aaye to qadam lena, jaye to dua dena..



uljhan hai bahot phir bhi hum tum ko na bhoolenge-

mumkin to nahin' lekin tum hum ko bhulaa dena..



(film: Mahal [1949], poet: J. Nakhshab, music: Khemchand Prakash, singer: Lata Mangeshkar)




- - - - - - -- - - - - - - - - - - -




zindagi mein jab tumhare gham nahin' the-

itne tanhaa the ke hum bhi hum nahin' the..



waqt par jo log kaam aaye hain' aksar-

ajnabi the woh mere humdum nahin the..



besabab tha tera milna rehguzar mein-

haadse har mod par kuchh kam nahin' the..



hum ne khwaabon' mein' khuda ban kar bhi dekha-

aap the baanhon' mein' do aalam nahin' the..



saamne deewar thi khuddariyon' ki -

warna raste pyaar ke pur kham nahin' the..



(film: Dooriyan [1979], poet: Sudarshan Faakir, singers: Anuradha Paudwal & Bhupinder, music: Jaidev)


- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -



Awarapan, Banjarapan, aik khalaa hai seene mein-

har dam har pal bechaini hai kaun balaa hai seene mein..



jaane ye kaisi aag lagi hai jis mein' dhuaan' na chingari-

ho na ho is baar kahin' koi khwaab jalaa hai seene mein'..



jis raste par tapta sooraj saari raat nahin' dhalta-

ishq ki aisi raah guzar ko hum ne chuna hai seene mein..



kahaaN' kisi ke liye hai mumkin sab ke liye ek sa hona-

thoda sa dil mera bura hai, thoda bhalaa hai seene mein..



(film: Jism [2003], poet: Nilesh Mishra, singer: K.K., music: M.M. Karim)

No comments:

Post a Comment