Thursday, March 22, 2012

MEENA KUMARI 's Ghazals




So here presenting few of her ghazals, nazam and qataa'





* * *



yun teri rehguzar se deewanawaar guzre -

kaandhe pe rakh ke apne apna mazaar guzre..

baithe hain raaste mein' dil ka khandar sajaa kar -

shaayad isi taraf se ek din bahaar guzre..

daar-o rasan se dil tak sab raaste adhure -

jo aik baar guzre woh baar baar guzre..

behti hui ye nadiyaa, ghulte huye kinaare-

koi to paar utre koi to paar guzre..

masjid ke zer-e saaya baithe to thak thakaa kar-

bola har ek minaaraa tujh se hazaar guzre..

qurbaan is nazar pe maryam ki saadgi bhi-

saaye se jis nazar ke sokardigaar guzre..

tu ne bhi hum ko dekha, hum ne bhi tujh ko dekha-

tu dil hi haar guzra, hum jaan haar guzre..
* * *




* * ** * * * * * *


* * * * * * * *




tukde tukde din beeta, dhajji dhajji raat mili-

jis ka jitna aanchal tha, utni hi saughaat mili..
rimjhim rimjhim boondon' mein' zeher bhi hai amrit bhi-

aankhen' hans di dil roya, yeh achchi barsaat mili..

jab chaaha dil ko samjhen' hansne ki aawaaz suni-

jaise koi kehta ho le phir tujh ko maat mili..

maaten' kaisi ghaaten' kya chalte rehna aath peher-

Dil sa saathi jab paya bechaini bhi saath mili..

honton' tak aate aate jaane kitne roop bhare-

jalti bujhti aankhon' mein' saadaa si jo baat mili..

* * * * * * * * * * *


lambi lambi palkon' wale tujh par kaisa naam sajega-

lambi lambi palkon' wale tujh par aisa naam sajega..

lambi palkon' wale ne is sheher ka dil apnaya hai-

hum baithe ye soch rahe hain' us par kaisa naam sajega..

dopahar ki garmi hai aur chhaaon' neem ki thandi hai-

baith hi jaa is chhaaon' mein' pagle tujh par ye aaraam sajega..

zakhmi haathon' se thaam hi lo zakhmi haathon' ka kya kehna-

kehta hai ye har ek zakhmi mujh par har ek jaam sajega..

bin maange moti milte hain' maange se milti bheek nahin'-

chheen le aakar dil ko mere tujh par ye ilzaam sajega..

mitti ke jigar tak pahonchne ko logon' ne maathe tode hain'-

tu bhi haath mein' teeshaa le le tujh par yahi kaam sajega..

* * * * * *

udaasiyon' ne meri aatma ko ghera hai-

rupehli chaandni hai aur ghup andhera hai..

kahin' kahin' koi taara, kahin' kahin' jugnu-

jo meri raat thi wo aap ka sawera hai..

qadam qadam pe bagolon' ko todte jaayen'-

idhar se guzrega to raasta ye teraa hai..

ufaq ke paar jo dekhi hai raoshni tum se-

woh raoshni hai Khuda jane ya andhera hai..

seher se shaam hui shaam ko ye raat mili-

har aik rang samay ka bahot ghaneraa hai..

Khuda ke waaste gham ko bhi tum na behlaao-

ise to rehne do mera, yahi to mera hai..

* * * * * * * * * * * *


Ab aankh khuli ab hosh aaya - behka sa jab gulposh aaya..

patta patta ab nikhra hai - dil sa jo parda posh aaya..

aankhon' ko dekhte hi bole - bin piye koi madhosh aaya..

apna hi sauda kar baithe - tum sa jo sabaa farosh aaya..

* * * * * *

Rooh ka chehra kitabi hoga-

jism ka rang anaabi hoga..

sharbati rang se likkho aankhen'-

aur ehsaas sharaabi hoga..

chashm-e paimana se tapka aansu-

koi bechara sawaabi hoga!


* * * *


masarraton' pe rawaajon' ka sakht pehra hai-

na jaane kaun si ummeed pe dil thehra hai-

teri aankhon' mein jhalakte huye is gham ki qasam-

ae dost! dard ka rishta bahot hi gehra hai..

* * *

din guzarta nazar nahin' aata-

raat kaate nahin' kat'ti-

raat aur dil ke is tasalsul mein-

umr baante se bhi nahin' bat'ti

* * *
din baharhaal bahartaur guzar jata hai-

shaam aati hai to ajab rang liye aati hai-

aik tanhaai jo maut ki tarah khaamosh hai-

har nayi shaam nayaa bhes badal aati hai

* * *

tumhari aankhen' jo har dam sawaal karti hain-

tumhari aankhon' mein' un ka jawaab bhi to hai-

haan' ye sach hai mohabbat hi zindagi hai magar-

mere ham-shaakh mohabbat azaab bhi to hai..

* * *



teri aawaz mein' taare se kyun' chamakne lage -

kis ki aankhon' ke tarannam ko chura laayi hai-

kis ki aaghosh ki thandak pe daaka daala hai-

kis ki baanhon' se tu shabnam ko uthaa layi hai??


* * *







2 comments:

  1. Meena Kumari's 40th Death Anniversary is on 31st March 2012... (She passed away on 31st March 1972).. This week postings are her ghazals and other poetry and a TRIBUTE to her...

    ReplyDelete
  2. the day she left us is not much far. lets pray for her.

    ReplyDelete