Thursday, March 1, 2012

Dekh to Dil ke jaa se uthta hai - Mir Taqi Mir




A two centuries old ghazal by Mir Taqi Mir... along with this ghazal, his famous ghazals includes "Dikhayi diye yun k bekhud kiya - hamein aap se bhi juda kar chale ..." (actually starting with faqeerana aaye sadaa kar chale - miyan' khush raho hum dua kar chale)...




Dekh to dil ke jaan’ se uthta hai-
ye dhuan’ sa kahan’ se uthta hai..

gor kis diljale ki hai ye falak-
Shola ek subho yaan’ se uthta hai..

baithne kaun de hai phir usko-
jo tere aastaan’ se uthta hai..

yun’ uthe aah! us gali se hum-
jaise koi jahaan’ se uthta hai..

khaana-e dil se zeenaar na jaa-
koi aise makaan’ se uthta hai..

naalaa sar kheenchta hai jab mera-
shore k aasmaan’ se uthta hai..

Ishq ek Meer’ bhaari patthar hai-
Kab ye tujh naatawaan’ se uthta hai..

(Mir Taqi Mir)

8 comments:

  1. meri kam'ni ki psandeeda gazal ha ye

    ReplyDelete
  2. Heard for the first time in Pakeezah Movies and became a fan since then. Mesmerizing lines and mesmerizing song in the movie.

    ReplyDelete
  3. Nice to read very old poetry of a great poet. Thank you.

    ReplyDelete
  4. two couplets are missing. after " nala sar khechta.....next is " larti hai uski chashme - shokh jahan , ek aashob va se uthta hai. sudh le ghar ki bhi shola- e - aawaj,dud(smoke) kuch aashiya se uthta hai.

    ReplyDelete
  5. two couplets are missing. after " nala sar khechta.....next is " larti hai uski chashme - shokh jahan , ek aashob va se uthta hai. sudh le ghar ki bhi shola- e - aawaj,dud(smoke) kuch aashiya se uthta hai.

    ReplyDelete